Wednesday, July 14, 2010

YE SWAYAM HAI KYA -- KYON NA KAREIN ISH KHOJ KI SURUAT

Swayam ki khoj
Aamantran hai aap sabhi ka – swayam ki khoj mein
Ek bari khoj -- aakhir ye swayam hai kya
ek prani matra – ek jeeevit machine – ek wayqti –
ya phir khuch aaur -- bhavnaon ke phhool te phoot te balloon – rishton ke bel ki ek lat – parivarik parivesh ka ek jura ya kata hua Ansh
ya phir ek safalta – jeevan sangarsh – ek aham – ya phir gattar ka keera matra -- jara sochiye !

ek samaparpan – ek rishta – ek ibadat -- ishwar ke liye -- insaan ke liye --kya yeh hai swayam

jeevan ki adhoori tasveer -- mrig trishna mein bhatakta har pal - kahin ye to nahin hai swayam

kyon na jure hum -- ish talash mein hum --- har swayam ki khoj -- BANE JEEVAN MULYON KI KHOJ !!


aisa to nahin swayam hai ek confusion ------

6 comments:

  1. subhash pandey on fb
    Subhash Pandey Thakur saab namaskar! Read your blog..liked it. swayam ki khoj. very good. Sir Thomas More wrote Utopia in 1500 century about an ideal society living out there in a fictional island. Like that we continue to live with an utopian mind that some day we will have "ideal enough" wealth or knowledge in life and that day/the...reafter we will be happy forever. But the irony is that never happens..bade..bade thoughts le ke ek din hum hamesha ke liye so jate hai..
    Aap to waise hi itne gyaani vidooshak hain sab jante hain..aage aur kya kahun..hum bhi issi mrigtrishna mein jee rahe hai. aap hi ke jaise..lekin swayam ko nahi khoj rahe hain..kuchh aur hai jo hamein bhi nahi pata kya hai..

    ReplyDelete
  2. Rajiv Thakur oh swayam ki khoj ki kari ko badhane ke liye dhanyabad ---- sahi farmaya hai aapne --- zinadagi kya success ka daaur hai --- aaur success ki parivasha zamane ne kya nischit kiya hai --- bangla , gaari, fridge, plasma tv, ac, khuch ek aaur ...electronic gadzet, baacchon ke branded school -- patni ke branded jwellery ya diamond -- aaur branded kapre -- kyonki apna brand bana na to kafi takleef deta hai --- so hum bane brand ke gaari dauratein hain --

    success na life ki khu---shi rahi -- na apno ki khushi -- na samaj - na parivesh -- na desh -- na mitti-- paroshi bhi to gutter aaur swerage ke jaam hone pe hi mil patein hain -- matlab ki zindagi ki khushi paani ho to -- gutter aaur swerage ki jaroorat hai ---!

    swayam ki khoj mein ye boriat bhari aaj ki kahani

    ReplyDelete
  3. lagata hai shilshila chal para

    swayam ki khoj mein karwi but interesting kari hai ye ---

    --Apne Project ke bojh tale dabaa ja raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Zindagi se haara hua hai, Par schedule se haar nahi manta,

    Apne Area ki ek ek code isne analyse ki hai,

    par aaj kaun se rang ke 'socks' pehne hain, ye nahi jaanta,

    Din par din ek excel sheet banata ja raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Apne Code mein bugs dhoond leta hai par,

    Majboor dost ki aankhon ki nami dikhayi nahi deti,

    PC pe hazaar windows khuli hain,

    Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,

    Sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Kitabon me gulab rakhne wala ,

    Outlook mein red flag lagaa raha hai,

    Dil ki zameen se armaano ki vidayi ho gayi,

    Din bhar mails ke jawaab diye ja raha hai,

    Weekends pe daroo peke jo khushi mana raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Maze lena ho is-se to poochh lo,

    "Salary Increment" ki party kab de rahe ho,

    Hansi udana ho iski to pooch lo, "On site" kab ja rahe ho?

    Wo dekho Foreign se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Kharche badh rahe hain, Baal kam ho rahe hain,

    Salary ki date ati nahi, Income Tax ke sitam ho rahe hain,

    Lo phir se bus chhoot gayi, Auto se aa raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Pizza gale se nahi utarta,

    To "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,

    Office ki "Thaali" dekh muh banata hai,

    Maa ke haath ka khana use roz yaad aata hai,

    "Sprout Bhel" bani hai phir bhi, Free "Evening Snacks" kha raha hai,

    Wo dekho ek engineer chala ja raha hai...



    Aapne ab tak li hongi bahut si chutikiyan,

    ek engineer ke jivan ka sach batati ye aakhri kuch panktiyan,

    Hazaron ki tankhwah wala, Company ki karodon ki jeb bharta hai,

    ek engineer wahi ban sakta hai, Jo lohe ka jigar rakhta hai,

    Hum log jee jee ke marte hain , Zindagi hai kuch aisi,

    Ek fauj ki naukri, doosri ek Engineer ki ,Dono ek jaisi,

    Is kavita ka har shabd mere dil ki gehrayi se aa raha hai, Wo dekho ek
    engineer chala ja raha hai...

    ReplyDelete
  4. Sir,
    Really, It’s nice posting for society.............

    ReplyDelete